Education In Foreign Countries

Pakistani student agar foreign countries mai study kerna chahe tu onhai kia kerna chahiye? kia tamam ikhrajaat waldain ko poora kerna hota hai? ya pakistani student khood bhi koi kaam ker ke apne ikhrajat poore ker sakte hai?
pinky7861Group: Members  Joined: 07th Oct, 2007  Topic: 44  Post: 1348  Age:   
Posted on:16th May 2008, 4:57pm

well

   Bohat acha question poocha hay aap nay.  Baat yah hay kay pak say ager kisi nay internatinal student ka visa laina hay tu wahan ka jo bhi poora procedure hay uss ka hercha tu pak main parents ko hi kerna peray ga, jis main intial exam yani TOFEL hay phir foregin colleges main apply kernay ki fees phir ager admission ho jay tu visa ka hercha wagaira.  Taham ager bacha UK ja raha hay tu wahan student visa per loagoun ko kafi sahooltain hain jis main aik job kerna bhi shamil hay aur wo beri aasaani say mil jati hay(mairi ab tak ki maloomat kay mutabik), albata USA main thora mushkil hota hay.  Yahan ka mujay sure nahi hay kay student visa per job ker saktay hain ya nahi, main nay kabhi poochnay ki zahmat hi nahi ki. hahahahahaa.
Anyways, ager aap ko ya kisi ko US main admission kay liay maloomaat derkaar houn tu feel free to ask me for that.   MAin her tara ki maloomaat inshallah fraham kernay ki koshish keroun gi.
goodmanGroup: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7336  Age:  32  
Posted on:16th May 2008, 5:07pm

Miss Pinky jee

Miss Pinky jee pls ask for the information about the trade courses.And student visa a person can do job also.
ok
SeemiGroup: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:16th May 2008, 11:53pm

Bewaqoof bhai

Immigration departments in western countries allow an international student to work only 20 hours in a week.. Not more than that... Agar koi is se ziada hours job karay during studies tu  us ka VISA cancel honay k chances hotay hien. or 20 hours mein aap itna hi kama saktay hien k aap ke living expenses prperly pooray ho jaayein but aap apni feeses bohat mushkil se hi poori kar saktay ho.. during studeis aik student ko sirf part time job hi allow hoti hia, or job availabilty different countries mein different hai. In Australia, it is not so hard but not so easy to get a part time job. International students drive taxis, work in Shoppping Malls, hotels, Fast Food resturants, Age care facilities, Gas stations etc... Bohat lucky hotay hien woh loug jinhein apni feild se related part time job mil jati hai. Because in Australia, Canada, employers partime, full time job denay k liye local experience mangtay hien...
joshGroup: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:17th May 2008, 9:27am

Canadian Immigration & Study Visa...

seemi ap to kuch aur hi kahani suna rahi hain..."20 hours mein aap itna hi kama saktay hien k aap ke living expenses prperly pooray ho jaayein but aap apni feeses bohat mushkil se hi poori kar saktay ho"
mera aik dost UK mai study visa par gaya hai, uskay mutabik wo education bi hasil kar raha hai, aur aik fast food shop ya restaurant mai kam karta hai aur itna earn kar leta hai k saray expenses(including living & educational exp) nikal kar, pakistan mai 50-60 hazar bi bhej deta hai aur uskay pas kuch paisay bach bi jatay hain...
Canadian immigration for skilled person ka kisi ko pata hai to kindly us baray mai kuch batain, unki website mai likha hai k iskay liye 67 marks hona zarori hai,, to kisi k 51 to 55 marks bantay hon to uska koi chance hai ya nahi ?? aur usay apply karna chahiye ya nahi, kyonkay refusal ki soorat mai processing fee Rs. 35 to 40 thousand ka nuksan ho jaeyga...
SeemiGroup: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:17th May 2008, 9:58am

Josh Bhai.

Jahan tak aap ke dost ki baat mein samjho hoon, mujhay yehi lagta hia keh woh wahan per study karnay ki bajaye, job hi kar raha hai... UK mein aisa ho jata hia k aap kuch arsa k liye apni studies ko cease karwa kar job karein or jab itni income ho jaye keh aap apnay aap ko stable feel karein tu phir study ko continue kar lein.... Kyonkeh mein sure hoon ke koi bhi country aap ko itna kaam karnay ki ijazat nahin deta k aap feeses bhi jama kar lein, ghar bhi bhaij dein or apna khanay peenay ka kharcha bhi nikaal lein... Western countries mein Studeis ko bohat balanced tareeqay se deal kiya jata hai... Aik semester mein aik students kitna study load bardasht kar sakta hai, kitna job kar sakta hai, ye sab reasearch k baad standard banaye jatay hien... Tu aap apnay dost se dobara confirm karein.. Kyon ke mein kuch logon ko janti hoon jo isi tarah apni study cease karwa kar wahan job kar rahay hien....

Jahan tak Canadian Immigration ki baat hai tu us k liye aap ko waqai 67 score karna hota hai... 65 ya 64 tak tu kaam chal jata hia ke woh aap ko waiting list mein daal detay hien but agar 55 tak ho tu refusal ke 100% chances hotay hien. is liye refusal se bachnay k liye 67 hi score ho tu behtar hai.. Lekin aaj kal Immigrations k rules bhi sakht ho gaye hien or us mein time bhi lagta hai.. Mujhay kuch arsa pehlay hi pata chala k Canada ki immigration k liye 5 se 6 saal lag jatay hien or isi tarah Australia k liye bhi 2 se 3 saal lagtay hien.. Ab tu UK ne bhi apna immigration system change kar ke point system implement kar diya hai... 
joshGroup: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:17th May 2008, 10:44am

seemi...

lo jee apnay to meri planning par paani pher dia balkay pocha bi maar dia, i hope you know about pocha, agar nahi pata to rehnay dain...
chalain agar mera irada bana to phir dekhonga k mere 67 points ban bi saktay hain ya nahi, sirf aik language ability ka option hai mere liye, us mai manay apnay ap ko sirf 2 number diye hain, jabkay is factor k total marks 24 hain.
thanks for the info...
saima arifGroup: Members  Joined: 26th Mar, 2008  Topic: 10  Post: 401  Age:  35  
Posted on:17th May 2008, 11:02pm

student visa

student visa par u.s may legally job nahi kar saktey agar job karna bhi hey to only collage key cafetera wagera may ki jasakti hey.
saima arifGroup: Members  Joined: 26th Mar, 2008  Topic: 10  Post: 401  Age:  35  
Posted on:17th May 2008, 11:03pm

ya phir

kuch hours hi kam kar saktey hay
BewaqoofGroup: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4334  Age:  38  
Posted on:17th May 2008, 3:19pm

re: education in foreign countries

thanks pinkey, seemi, josh and saima arif. aap log discussion kerte jayee, hamari maloomat mai izafa hota jaa raha hai. umeed hai keh aur members bhi is topic per apni maloomat pesh kare ge.
SeemiGroup: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:17th May 2008, 9:50pm

Australia

Mein baqi countries k baray mein tu news k hawalay se or general opinion k tour per keh sakti hoon ke wahan students k liye kya restrictions hien but I am dead sure about Australia.. Yahan International students ko 20 hours per week se ziada job karnay ki permission nahin hia.. Last year Sydney se 4 chinese ka Visa cancel kar ke wapas bhaija gaya kyon ke woh more than 20 hours job kar rahay thay. Or 20 hours mein koi bohat ziada nahin kama sakta... Lekin yeh baat hai k during semester breaks students are allowed to work as many as they want, beshak 24 hours per day bhi karein tu kisi ko koi aitaraz nahin hai.
Red ChilliGroup: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:18th May 2008, 3:01am

Agreed to seemi aunty

 aap siraf 20 hours per week  kaam ker sakte hain..
International students drive taxis, work in Shoppping Malls, hotels, Fast Food resturants, Age care facilities, Gas stations etclekin aap jab aisi jaga per job karo ge to illegal job mile gi.. aap ka koi contract nahi hota...aur dusron ke muqable mein aap ko paise kam mileyn ge... agar wahan per mojood baqee logon ko 7 euro per hour mil rehe hain to aap ko 4 mileyn ge.. yaa 3 euro...( kabhi kabhi aap ko tankhwa do do month taak nahi mile gi)  jab mile gi to adhi mile gi.. aap apne dosto se ( jo yaha aap ke dost hon ge) qarza le ker guzara karo ge aur qarze mein dab chuke hon ge).. jab tankhwa (adhi) leyn ge to ye socho ge ke is se main apni zarooriyat poori karo yaa qarza wapis karon...  . aap baqee logon jitna kaam karo ge un se bhi ziyada..... per
aap ko paise kam he mileyn ge.. aur agar kabhi koi aa jayen control kerne ke liye to aap ko bathroom mein band ker diya jaye ga.jo control kerne ke liye aayin ge un se kaha jaye ga ke ye bathroom saalon se band hain.. per agar wo door tor de ge to malik ko 2000 se 5000 taak ka jurmana bharna pare ga..aik bande ka..agar ziyada bande ho ge to her bande ke itna he jurmana bharna pare ga.. Khuda Na Khuwasta agar aisa ho gaya to aap apni tankhwa ko bhuul jaye ga aur job ko bhi....
Red ChilliGroup: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:18th May 2008, 3:19am

aik aur baat bhi hai jis ka mujhe theek tarah pata hain hai

 jo student hote hain un ko hukumat 500 euro per month deti hai deti hain..kese deti hain kistrah deti hai is ka mujhe theek tarah pata nahi hai...is ke liye kia kia kerna parta hai etc etc etc....
aik aur baat agar aap apne kissi janane wale ke ghar mein raho ge to aap ki ziyada qaader nahi ki jaye gi... jo cousin Pakistan mein ja ke aap se nakhre uthwate hain... aur aap un ke aage peeche phirte hain yaha per wo cousin aap ko gahas bhi nahi daalein ge.. agar aap un ke ghar mein rehe ge to wo un ka sara ghar aap per nazar rakhe ga... aap kese khate ho kesi baatein kerte ho..kese chalte ho... aap ke kapre etc etc etc . aap ki her baat mein keere nikale ga. aap jo kaam karo ge aap ko tareef sunane ke liye nahi mile gi. hamesha cousin aap ki bezati he karein ge....is per to main bohat kuch likh sakti hoon  bhla bhla blha .............
Note: aisa sab log nahi kerte ye main isliye bata rehi hoon kyon ke agar Khuda Na Khuwasta kissi ke saath aisea hua ... to wo apne aap ko pehle se is ke liye tayyar rakhe...

Bewaqoof:
 baad mein aap shaadi wala topic start kijiye ga.. jo larkiyan/ larke  Pakistan se baher aane ke khwab dekhte shaadi ker ke ...un per bhi zara behs ho jaye...un ke saath kia kia hota hai.. un ko kia kia bardasht kerna parta hai. etc etc etc....
aur jo larke Pakistan se baher aate hain ghar walon ko chor ker zameen jadad behano ke zewaar etc etc bech ker un per bhi aik topic hona chaye.. yaha forum per jo log baher aane ke khwab dekhte hain..un ko pata hona chaye ke baher aa ker un ke saath kia kia ho sakta hain...kin kin mushkeelat se wo log dochaar ho sakte hain
joshGroup: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2296  Age:  36  
Posted on:18th May 2008, 7:31am

what about Germany ??

20 hours per week hi job ki ja sakti hai aur is say ziada time job kar k risk nahi lena chahiye....
aur jaisay apnay kaha k "kuch arsa k liye apni studies ko cease karwa kar job karein",, iskay ilava "during semester breaks students are allowed to work as many hours as they want"
to in 2 tareekon say hi jitna ho skay earn kar lia jaey aur baki time study par concentrate karna hi behtar hai....

red chilli ap bi kafi kuch jaanti ho, khas tor say jo apnay 500euro wali baat ki hai, iska muje nai pata tha,,,, lekin mai soch raha hon k euro to europe mai chaltay hain, england mai british pound chaltay hain... ap england ka bta rahi ho ya kisi european country ka ??
Germany mai suna hai k education free hai, iskay baray mai kisi k pas mazeed koi malumaat ho to kindly wo bi share karain.... khas tor say Sunehri ko kuch pata ho to wo btaen kyonkay wo Germany mai rehti hain...
hamziGroup: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  27  
Posted on:18th May 2008, 9:30am

well

its my personal observation that its very hard tu mange ur studies along wid job in abroad bcs studies is a full tym job and it need proper concentration and specially if ur doing some professional degree
josh bro eductaion is free in germany but only if u know german language coz in germany most of the education is in ther own language
SeemiGroup: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  27  
Posted on:18th May 2008, 9:39am

Red Chili baji

Aap ne tu bohat khoofnaak naqsha khaincha hai... Kam se kam se Australia mein aisa kuch nahin hai.. Agar aik international student part time job karta hia for example McDonalds mein ya KFC mein tu us ko bhi wohi Pay rate milay ga jo Kisi goray ya gori ko milay ga.. say 17$ per hour or 15$ per hour... Yahan government student ko koi paisay nahin deti lekin har kisi k workplace rights ka khayal rakhti hai k koi employer kisi bhi employee se ziada kaam le kar us ko kam paisay na de raha ho.. Is cheez ka kaafi check n balance rakha jata hai....
Lekin baat phir bhi wohi hia k studies is a full time job or banda ya tu parh le ya phir kama le... Aik cheez ko choose karna parta hai...
sunehri76Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 99  Post: 4664  Age:  37  
Posted on:20th May 2008, 12:16am

i agree

to red chilli....yahan bhi aisa hi hota hai...ek to working premission ke beghair koi job nahi milti...,aur agar working premission ho bhi to wahi pay ka massla .....
yahan government paise deti hai student ko lekin sirf karz ki surat me...
uetian31Group: Members  Joined: 18th Mar, 2008  Topic: 20  Post: 1006  Age:  32  
Posted on:20th May 2008, 12:33am

pakistani nojawan b perhany main interested hain!!! herat hay...

slaam
bhai ab koi subject dekh k mery peechy na per jau, jo dekha or feel kiya bol diya hay, if u hv seen my profile u know wt i do and whr iamn now, well i have hardly seen nay international students in usa, i mean as compared to indianz, pakistani jowanoun ko mobile or lerkioan k peechy bhagny se fursat mily to wo perhany aiaen, aap log yaqeeen nai keriangy k iwhich univ i graduated i was the only pakistani in engineering, all of othrs were my indian frds, and u wont beleive thy come like 200+ per semmster, i amased to see thet wt as pakistani our priorities are, i use to talk wid our frds tht look dunya kahan ja rai hay or ham kahan....khr its fact which i hv seen  hope so may of othrs frds hv also seen in diff countries, i wish one day i see stats tht in every us univ each smster 200+ international students have enrolled, trust me if tht happens ,thn i bet we will be greatr thn any othr country in world!!! and lastly if any one wna apply usa, i willl please to help and evn give information that wt steps neded, and how to get admition in cheap but good universties, and how to get scholerships, trust me i have learn the hard way:)

0 comments :

Post a Comment